NARI KATHA (PART-2)
Ek din ki baat hai main dophar me bhojan karke vidyalay gayi toh meri saheli roh roh kar bol rahi thi ki vigyaan shikshika ki beti dono joh janm se judwa hui thi kareeb 5 varsh ho chuki thi, unki achanak maut ne sabko stabdh kar diya tha. Garam doodh me chipkali padh jaane se unki mritiyu hui, iss baat ko bache ki pita samjh he nahi pa rahe the. Unka toh ek he beta joh keval 9 varsh ka tha veh bhi iss baat se anjaan tha ki achanak 2 judwaa beheno ko kya hua, ki aaj pita bhi iss dunia me na jaane kaha kho gaye. Sirf mataji aur main akela reh gaya. Saari dunia aaj issi soch me dubi thi ki kash veh sarkari naukri na karke bacho ko dekhti toh aaj aisa nahi hota, Joh kahi nari jaati par utha sawal, pita toh yeh keh kar chale gaye ki main naukri par jaa raha hu. Iss tarah kuch dino baad mansik asantulan ke kaaran kahi chale gaye. Issi tarah nari akeli reh gayi, saari dunia ka dukh jhelne ke liye, sirf 35 ki umar thi. Naukri se avsar paane ke liye toh dhero samay tha. Dekhte-dekhte shikshika haddh maans ka putla ban kar reh gayi. Pati aur putri ke gam me kho gayi. Nari gam sehti hai chup rehti hai, parr kisi se kuch na kehti hai.
Meri ek saheli ki shaadi hui. 3 mahine me he achanak pati ki mritiyu sadak durghatna me ho gayi. Jab logo ne phir shaadi ki baat ki toh gaon ke sarpanch ne kaha- Humare yaha gharo me nari ki shaadi sirf ek baar hoti hai dubra nhi. Isliye veh shikhshit thi toh Bank me naukri karke pet me pal rahe bache ko dekhne ke liye, use janm dene ke liye, jivit rehna pada. Saari umar dukh jhelti, aage badhti rahi.
Bharatiye samaaj me riti-rivaj, samaajik-pratha kut-kut kar bhara hai. Joh prampara chali aarahi hai use maan kar chalna he achi samjhdari maana jaata hai, prasansa ka paatr kehlata hai. agar aana kaani ki thodi se bhi, toh mazaak udaana shuru kar dete hai.
Nari dukho ka sambhaar hai,
kast sehne ko lachaar hai.
Mere pitaji ki choti se aay thi aur usme bhara pura parivaar padhai-likhayi, laalan-paanlan, mehmaandari, padosiyo ki khatirdari sabhi kuch. Uss par darshaniye sthaanon ke darshan karna. nayi-nayi jagah ghumna, chize kharidna, khaana aur dusro ko baatna...iss tarah humlog Kashnir se Kanyakumari tak ghumne gaye. Agra,Delhi aur Ajmer bhi gaye. Uss samay me padosi ka mehtav bahut adhik tha. Aaj toh durdarshan dekh lo, saari dukh durr ho gayi. Log toh marne par bhi jaane ki jaldi nahi karte. Shaadi vivah me jaana toh fashion hai ki video me sundarr chehra ayega. Samaaj ki gati he badal gayi, saare log bhaagte daudhte nazar aarahe hai. Kisi me dhairya nahi, dukh sehne ki sahas nahi, sab chahate hai sukh me dube rahe. Sukh-dukh, aana-jaana, khaana-pena sabhi samaajik chakr hai, chalte he rehta hai. Aaj ki yuva pidhi aur yuva nari abhi ke baare me sochti hai, kal ke baare me nhi. Maa kehti thi tumhari naani achaar, papad aur baddi (dalo ki) bana leti thi garmiyo me. Taaki 4 mahine yaani Ashadh, Saavan, Bhadrav aur Kartik araam se ghar me rasoi ho. Varsha ritu me kasht na uthana pade phir, jlavan ke liye lakdi bhi ikatha karke rakhti thi. Shaam ke samay me laalten me tel aur batti thik karke jalaane ke liye rakhna. Masala saara sil batte par pisna. Haath se kapde dhoona, nalkup ya kua se paani bharna yahi nari ki din charya thi, par aaj toh yug he badal gaya hai.
Jaise he shaadi hui, sasural gayi. Sehen shakti ka abhaar, samjh bujh ka abhav, sukh ka abhav aur kisi bhi chiz ki takleef hui toh andarr he andarr tutne lagti, murjhaane lagti, apne ko kosne lagti ki kaash aisa hota waise hota, toh sansaar kitna sunhera hota parr thodi se bhi baat samjh me ajaye gulab phool ke saath kaatein hote hai. agar aise na hota toh, ishwar sirf phool he phool pedh me ugata. Jab upar wale ne haath ki paanchon ungliyan samaan nahi banai toh manushya ki kya aukat. Use toh sikhni chahiye phoolon se ki kaaton ke beech khila hua gulaab kitna manmohak lagta, ussi tarah jivan bhi hai. Khusi aur gam saath saath chalte hai, samay ka chakr chalte he rehta hai. Pedh ke hare patte pile hote hai aur ek din jhadh jaate hai. Unn jagahon par naye patte ugte hai, yehi niyaati hai, yehi kaal chakr hai.
Mujhe aaj bhi veh din yaad hai jab bhai bahar jaata toh maa intezaar karti ki beta ghar aane par he khaana khaungi, yeh niyam sadiyon se chala aaraha hai, chahe veh koi bhi nari ho sada he adhi umar kabhi beta-beti aur kabhi pati ke intezaar me kaat deti hai. Yeh pal bada he naazuk aur bhavuk hota jab aap kisi ki pratiksha karte hai.
Zindagi ke pal bade he mehtavpurn hota, parr apko apne umar ke adhe waqt kisi ko dena hota hai. Nari socha karti hai ki main aage apne ashayein pura karungi, parr samay ke saath sab kuch badal jaata hai. Sabhi armaan adhure reh jaate hai. Meri maa mujhe kaha karti thi humesha ki beti mujhe kaanphul mila hai shaadi me, toh us se jhumka banwaungi parr samay beet gaya aur bache bade ho gaye, sabki shaadi hogayi, budhi maa ko bimariyon ne gher liya, kya he armaan pura karegi yaa ilaaj me samay degi. Vaidhya ke paas jaate he toh samay beet gaya aur ishwar ko pyaari hogayi.
Nari ki laachari,
sune na dunia saari,
karti rahi guhaari,
parr puri na ho saki armaan saari.
Aaj ka shikshit yuva varg bhi nari ko aage badhne me utna he upar dekhna chahata hai, jitna uske dil me ho. Dil aur dimag ki baat ek shikhshit nari kaise jaanegi aur bina sehyog ke kaise aage badh sakti hai. Kyuki pati ke bina anumati, aage badhegi toh zindagi nark bann jaati hai. Jaise ki- aage kua piche khaai...nari ko samjh na aayi ki kidhar jaye. Shayad he koi nari sabki sehmati se aage badhti hai toh veerangna kehlati hai. Samaaj me aneko udharan bhare pade hai. Harr shetr me nari karyaratt hai. Rastrapati, pradhan mantri se lekar rajya paal aur mukhya mantri anekon padd par hai phirbhi- nari toh nari hai...iski leela he nyaari hai.
Adhunik yug me ek ladhki ko maa harr chiz bataati hai parr samay ka abhaav hai sunne ka, samjh ne ka aur marg darshan karne ka. Isliye toh shikhshit hote hue bhi kahi na kahi chuk jaati hai aur bhul ho jaati hai. Ghatnayein ghat jaati hai, jab samjh me baat aati hai tab-aab pachtaye kya hoot jab chidiya chug gayi khet wali kahawat charitarth hoti hai. Humse bade kuch bhi bole unka samaann aur aadarr sadev karna chahiye kyuki veh issi daur se guzar chuke hai. saari kabiliyat haasil kar chuke hai. Issi ke saath main antt me yehi kahungi ki nari sada adarrniye hai avam sadev pujniye hai.
Comments