NARI KATHA
Baat unn dino ki hai jab mera janm hua, mata pita ati aanandit the ki unke yaha ek ladhki ka janm hua. Main jab kewal 4 saal ki thi toh pita ne kaha chalo school chale toh mataji ne kaha are yeh toh abhi bachi hai iski umar toh sikhne ki hai...is par pitaji khub hase,"are main ek pradhan shikshika se baat karke aaya hu veh taiyar hai ese dakhila lene ke liye, toh tum ise taiyaar karke mujhe doh, main ese khub padhaunga, likhaunga aur nawab banaunga. are tum yehi (apni patni se) soch rahi ho na ki yeh ek ladhki hai. Ladhki hai toh kya hua, yehi toh samaj ki sacchi sevika hogi. Nari jaati ka vishesh samaan karegi, upar uthegi toh desh ko garv hoga. Nari ke rup me beti, patni, maa aur phir saas ke rup me logo ke samne upasthit hogi."
Pitaji ne kaha ise uchit sikhsha dunga toh kal ko yeh samaaj me apni pehchan bana sakegi, agar main ise ladhki samjh kar na padhau toh samaaj ka vikas toh ruk jayega. Beti unpadh reh jayegi toh aane wali pidhi ko kya sikhayegi sab kuch adhura reh jayega..mera sapna.., meri aashayein asumaar. Isiliye meri bahut icha hai ki kal ko log bole ki are uske pitaji ne beti ko padhaya tha toh aaj naam roshan kar rahi hai. Aaj bhi humare samaaj me beti ko nichi nazaron se dekha jaata hai. Maa khud ek nari hote hue bhi pakshpaat karti hai aur beto ko pehele khaana parosti hai. Beti ko kehti hai chal tu baad me khaa lena, dekho toh bartan me ek sukhi roti padi hai, kabhi toh veh bhi naseeb nhi. Par main toh iss maamle me koson durr thi. main ghar me badi thi, sabhi mujhe bahut pyaar karte aur mata-pitaji dono kehte khaa le pehle phir padh. Khaas karke Bihar,UP, MP aur Odisha nari jaati ki padhai unn dino jab desh ke pradhan mantri Shri Lal Bhadur Shastriji the, zyada mehtav nhi diya jata tha. Aaj bhi desh ko swadhin hue itne varsh beet gaye phir bhi nari jaati ko vishesh sanrakhshan nhi mil paya hai, chaahe veh savidhaan ki dhara ho, ya samaaj ki dhara sabse koson durr hai logo ki vichaar dhaara.
Jab purush pradhan samaaj ke mann me sacche rup se nari-bhavna viksit hogi tabhi desh ve samaaj ka vikaas hoga. Use garahini kaha jaata hai keval naam ke liye. Aaj nari jaati uchaiyon ki bedi par hai use koi rok nahi sakta adamya sahaas, prabal icha shakti aur pragadh vishwas ho toh nari kya nhi kar sakti hai. samaaj me hazaron udharan maujud hai. Harr kshetr me karya kar rahi hai, chaahe veh samaajik, rajneetik ho ya prayukti vidya ka he kshetr kyu na ho.
Aaj mere maa-pita dono nhi hai iss dunia me, parr main unhe sacche dil se smaran (yaad) kar rahi hu aur unko shraddha suman arpit kar rahi hu. Shiksha ki wajah se aaj main apne baccho ko uchit shiksha de rahi hu. Main Bihar pradesh ke 2 schoolo me, Odisha pradesh ke 2 schoolo mei bahut baccho ko shiksha pradaan kar chuki hu. Umar badhne ke wajah se ghar par he logo ko lekhni ke maadhyam se apni icha prakat kar rahi hu. Asha hai ki pathakh gaan sabhi khush honge aur mere ache vicharo se sehmaat honge.
Puratan kaal se le kar adhunik yug me bhi nari shiksha ka mehtav naa ke barabar hai. Aaj bhi wahi maansikta hai ki beti padhe yaa na, baas ache jagah shaadi ho jaye. ghar sansaar kar le baas, esse zayada kisi ki soch ho toh veh mere pitaji ki thi. Kehte the shaadi toh sabki hoti hai soh ek din ho jayegi, parr shikshit hona bahut zaruri hai. Shiksha ka mehtav unke jivan me itna adhik tha ki unhone apni naukri se sabhi bhai-beheno ko bahut shikshit kiya. Jaati-pratha, riti rivazo se upar uth kar unke adarsh vichar aaj bhi mere mann ko aandolit kar rahe hai ki utho jaago desh ki veer nari,
laagao jaan ki baazi.
Yehi kahaani sunani hai
aaj humne thaani hai.
Hum nari kaayar nhi
hum nari shayar hai.
Ghar ki zimedaari adhik hote gayi, samay ka chakr chalta raha, main bade hone ke bawajood pita adhik padhayi par dhayan dete, kehte ghar ka kaam toh hote rahega. Maa ki avastha dayniy thi. umar toh adhik nahi tha par bada parivaar hone ke kaaran mujhe dekhne ko kehti, sada he bimaar rehti evam sabhi karya karne ko kehti. Padhai ke liye samay nikal paana bahut he kashtkar ho raha tha, issi beech mausi ne kaha are eska toh rishta kardo jaldi nahi toh umar nikal jayegi toh katheen hoga. Iss par mere maa-pita dono ne ek saath kaha abhi nahi. Pehele padhai phir kadhaai yaani chulha chowka. Mujhe aaj bhi veh din yaad hai kuch bhi laate to maa ko kehte ki sab me barabarr me baant kar do taaki beta aur beti me samaanta ho, pyaar adhik ho, koi bhedabhav na ho.
Meri choti behan veh pita ki bahut adhik dulaari thi. Veh padhaai ke saath bunaai, silaai, kadhaai evam bike chalaane me nipun thi. Sabhi karya pita ke kehne par chutki bajate kar leti iss par pita ko garv hota, parr shaadi ke baad sasural dhaang ka nahi mila, pati ne saath nahi diya aur apne chote nanhe pyaare bacche ko chodh kar kam umar me he chal basi.
Purush pradhan samaaj me nari ka mehtav nahi samjha jaata hai. ek hazar admi me das admi samjhe toh is se parivaar, samaaj ya desh ka kalyaan nhi ho sakta. 50% samjhenge toh kuch ho sakta hai. aaj main logo ki mansikta ko badlne ka prayas karna chahati hu. Mere pati bhi adhik shikshit hone ke bawajood uchi soch nahi rakhte. wahi puraani vichaar dhaara wale log, saari dunia me jitni bhi parivartan ho parr samaaj me nahi hoga aur kuch log bhi aise hai joh karne ya hone dena nhi chahate. agar hoga toh unki ahankaar ko thes pahuchega. kehne ko toh log tarah tarah ki baatein karte hai, parr sacchai logo se koson durr hai. Raja Ram Mohan Roy ne sati-pratha ka ghor virodh kiya tha parr phir bhi unn dino jab main aathvi (8th) ki chatra thi, tabhi Rup Kunwar ko sati kar diya gaya. prashasan kathorr hone ke bawajood (janta ne) samaaj me pratha prachalit hone ke karan use mrit pati ke saath (jivit) patni ko sati hona pada. sab dekhte reh gaye aur bole bhagwan ki icha. issi tarah humara samaaj mukh sakshi hai. isme parivartan lana bahut he katheen karya hai.
Desh ki peheli mahila rastrpati Shrimati Pratibha Patilji unhone bhi mahilaayo ke kshetr me aneko karya kiye parr aaj bhi bahut karya karne ki zarurat hai.
Nari teri yehi kahani,
honthon me vaani
aankhon me paani,
nari teri yehi kahani
saree me shobhit nari,
sunaati kahani saari,
parr yeh nari ki lachari,
saari gatha dhari reh jaati,
nari bechari reh jaati,
uski kahani adhuri reh jaati,
agar nari awaz uthati
toh dusro ki kaane bhadhir ho jaati.
parivaar me reh kar kuch na kehti
sab kuch khud he sehti
yeh nari ka saubhagya nhi
sab saath hote hue bhi akeli
ek din aisa ayega
naari jaati aage badhegi
kabhi na rukegi
kabhi na jhukegi
kabhi na piche dekhegi,
sadhev badhti rahegi
parwat chute rahegi
akash ho ya antariksh
sarvagun sapann nari.
Comments