Posts

Showing posts from November, 2021

SAMAY KA MAHATV

Image
Baat unn dino ki hai jab main vidhyalay jaya karti thi, aur apne saare sapno ko lekar ek udaan bharna chahati thi, parr ghar ke halat aisi   n ahi thi. Aaj ke iss adhunik yung ki tarah saari sukh suvidhayen, internet high tech jaise chizein nahi thi. Agar yeh sab chizein hoti toh pata nahi kya hota, aaj udaan bhar rahi hoti.  Vyakti sochta kuch hai aur hota kuch aur hai, vidhi ka vidhaan he bilkul alag hai. Ek pakshi bhi asha rakhti hai ki aaj kuch acha hoga, naye naye jagahon ka vicharan kar kuch acha khadya milega.  Ashayein asumaar hai, vyakti ki abhivyakti se alag hai. Harr varg ka vyakti chahe veh bacha ho, komal shishu ho, yuva varg ho ya vridhavasta ho, sabhi samay me logo ki soch ek samaan hoti hai. Harr koi sochta hai aaj aisa hai, parr kal bahut he sunhera hoga. Parr samay ek samaan na hone ke karan samasyein panapti hai, joh halat ko alag bana deti hai. Iss tarah harr koi kuch aur sochne lagta aur sapne dekhna shuru kar deta hai,  joh kshan(क्षण) bhar ke l...