SAMAY KA MAHATV



Baat unn dino ki hai jab main vidhyalay jaya karti thi, aur apne saare sapno ko lekar ek udaan bharna chahati thi, parr ghar ke halat aisi
 nahi thi. Aaj ke iss adhunik yung ki tarah saari sukh suvidhayen, internet high tech jaise chizein nahi thi. Agar yeh sab chizein hoti toh pata nahi kya hota, aaj udaan bhar rahi hoti.  Vyakti sochta kuch hai aur hota kuch aur hai, vidhi ka vidhaan he bilkul alag hai. Ek pakshi bhi asha rakhti hai ki aaj kuch acha hoga, naye naye jagahon ka vicharan kar kuch acha khadya milega. 

Ashayein asumaar hai, vyakti ki abhivyakti se alag hai. Harr varg ka vyakti chahe veh bacha ho, komal shishu ho, yuva varg ho ya vridhavasta ho, sabhi samay me logo ki soch ek samaan hoti hai. Harr koi sochta hai aaj aisa hai, parr kal bahut he sunhera hoga. Parr samay ek samaan na hone ke karan samasyein panapti hai, joh halat ko alag bana deti hai. Iss tarah harr koi kuch aur sochne lagta aur sapne dekhna shuru kar deta hai,  joh kshan(क्षण) bhar ke liye hota hai, parr sachai kuch aur he hoti hai.

Mujhe agar avsar milta ghar aur parivaar se toh desh seva karti, bahut ashayein mann me liye socha karti ki kash mein desh ke kuch kaam aati jis se samaaj me naari vikaas ko aage lene me sahayak sidh hota parr koi baat nahi, mein apni beti ko iss yogya zarur banaungi ki veh desh ki seva kar sake. 

Ek ladhki ki shaadi hoti hai veh yeh nhi sochti hai ki aage kya hoga?? 
Sunhere sapne dekhti hai, parr sasuraal me jaane ke baad kuch sunhera pal beet he raha hota tabhi achanak pati ki mrityu sadak durghatna me ho jaati hai toh aisa lagta hai sunn kar maano ser par pahaadh tut pada, parro ke niche zameen khisak gayi aur aankhon ke saamne andhere cha gaya. Kuch pal me dekhte dekhte behosh hogayi, tabhi koi uski chudiyaan todh rahi hoti toh veh uth khadi ho jaati aur kehti yeh sab kya horaha hai. Log na jaane kya kya baatein karne lage, uske saare dahej kabaadee samajh kar phekh diya gaya. Usse maike jaane ko kaha gaya, waise bhi sasuraal me rehne ka tatpariya he nahi, saare log nichi nazaron se dekhte, kulakshani kehte aur najaane kya kya. 

Issi tarah veh apne maike aagayi. Yaha bhi mata-pita acha nahi samjhte. Anttah me uski choti behan joh bahut shikshit thi, usne usse vidhyalay me baccho ko padhane ke liye kaha, iss tarah veh ek shikshak bann kar jivan ke kuch pal ache se bita rahi hoti hai, toh ek din maa ne kaha yeh aise he baithe rahegi toh sabki shaadi kaise hogi, koi aur iss ghar me rishta lekar nahi aayega. 

Maa ek naari hote hue bhi tarah tarah ki baatein karti, kyuki samaaj me rehna hai toh sabki baatein maani he padhti hai. Apne bacchon ko bahut adhik shiksha deti hai, parr sab samay yehi sochti hai ki aati shighr shaadi karde taaki baache khush rahe aur khud bhi. 

Samaj me samaan aur adar milega, chaaro aur prashansa hogi toh mann khush rahega. Joh pratha sadiyo se chali aarahi hai, woh chalti he rahegi. Iss me kabhi koi badlav nahi ayega, kyuki yeh karya sabhi ke liye bahut subh maana jata hai. Kahi na kahi shayad sabhi log iss se sehmat honge. 

Parantu mere vichaar me maa ko apni beti ko uchit shiksha, ghar ke sabhi karya jaise rasoi, bunaii, kaddhai, silai aur painting wagera sikhne dene chahaiye taki jivan ke kisi bhi pal me veh apne ko akela na samjhe aur aage badh sake. 

Ek naari apna saara jivan parivaar avam bacchon ki seva me guzaar deti hai. Uske bacche ek ho ya uss se adhik, kabhi bhi bojh nahi lagte, parantu jab veh buddhi ho jaati hai toh bacchon ke liye bojh lagne lagti hai.. Aise kyu?? 
Main puchti hu aisa kyu??. 
Kab tak log apne buddhe maa-baap ko bojh samjhenge, yeh maansikta kab badalegi, kab samaaj me iska parivartan hoga. Kab log ucha sochenge aur apne maa-pita ko uchit samman aur adar denge. 

Jivan ke aakhiri palon me kyu behsahara kardete hai, kya dunia me sirf sukh he sab kuch hai. Apne shanti me rahe aur sukh suvidhaon se paripurn rahe, parr maa-pita aur dusro ke liye kya thoda sa bhi dhayan nahi, ki unhe bhi sukh me rahene ka adhikaar hai. Saara jivan bacchon ke liye utsarg kardiya parr unhe kuch bhi dhayan nahi, aise he soch hai, aise he maansikta hai. Isme badlaav aana bahut zaruri hai ki aap dekhiye jaise karoge, waise he bharoge. "Boye pedh babool ka, toh aam kaha se khaaye" wali kahawat charitarth hoti hai. Bacchon ko humesha sikh deni chahiye ki kaise dusron ka samman karna chahiye. Agar apne parivaar ke sabhi logo ka samman avam tcadar karna arthath saare rishtedaar, sage sambandhi, padosi aur mitron ki madad. Toh kabhi bhi bacche bhul nahi kar sakte. Mujhe puri asha hai ki aap shuru se jaise shiksha denge, baad me waise he hoga. Agar aap aam ka pedh laga kar uski tann mann se seva karte hai, toh shighr veh mitha-mitha phal deta hai joh aap jivan me aanand se khaate hai, kabhi bhi kadva phal nahi deta. Thikh ussi tarah bacchon ke komal mann ko aap jaisi shiksha denge veh baad me waise he banega. Jivan bhar uchit marg par chalega aur dusro ko arthath apne aane wali pidhiyon ko bhi sikhayega. 
"Karat karat abhyaas ke Jadhmati hott sujaan, rasri aavat jaat te, sil par parat nishaan" wali kahawat charitarth hogi. 

Ek vyakti ko jivan me sabhi ko samaan rup se dekhna chahiye, chahe veh kaisa bhi ho. Yehi maanavta hai, iss se badh kar kuch bhi nhi. 

Comments