Posts

SAMAY KA MAHATV

Image
Baat unn dino ki hai jab main vidhyalay jaya karti thi, aur apne saare sapno ko lekar ek udaan bharna chahati thi, parr ghar ke halat aisi   n ahi thi. Aaj ke iss adhunik yung ki tarah saari sukh suvidhayen, internet high tech jaise chizein nahi thi. Agar yeh sab chizein hoti toh pata nahi kya hota, aaj udaan bhar rahi hoti.  Vyakti sochta kuch hai aur hota kuch aur hai, vidhi ka vidhaan he bilkul alag hai. Ek pakshi bhi asha rakhti hai ki aaj kuch acha hoga, naye naye jagahon ka vicharan kar kuch acha khadya milega.  Ashayein asumaar hai, vyakti ki abhivyakti se alag hai. Harr varg ka vyakti chahe veh bacha ho, komal shishu ho, yuva varg ho ya vridhavasta ho, sabhi samay me logo ki soch ek samaan hoti hai. Harr koi sochta hai aaj aisa hai, parr kal bahut he sunhera hoga. Parr samay ek samaan na hone ke karan samasyein panapti hai, joh halat ko alag bana deti hai. Iss tarah harr koi kuch aur sochne lagta aur sapne dekhna shuru kar deta hai,  joh kshan(क्षण) bhar ke l...

NARI KATHA (PART-2)

Image
Ek din ki baat hai main dophar me bhojan karke vidyalay gayi toh meri saheli roh roh kar bol rahi thi ki vigyaan shikshika ki beti dono joh janm se judwa hui thi kareeb 5 varsh ho chuki thi, unki achanak maut ne sabko stabdh kar diya tha. Garam doodh me chipkali padh jaane se unki mritiyu hui, iss baat ko bache ki pita samjh he nahi pa rahe the. Unka toh ek he beta joh keval 9 varsh ka tha veh bhi iss baat se anjaan tha ki achanak 2 judwaa beheno ko kya hua, ki aaj pita bhi iss dunia me na jaane kaha kho gaye. Sirf mataji aur main akela reh gaya. Saari dunia aaj issi soch me dubi thi ki kash veh sarkari naukri na karke bacho ko dekhti toh aaj aisa nahi hota, Joh kahi nari jaati par utha sawal, pita toh yeh keh kar chale gaye ki main naukri par jaa raha hu. Iss tarah kuch dino baad mansik asantulan ke kaaran kahi chale gaye. Issi tarah nari akeli reh gayi, saari dunia ka dukh jhelne ke liye, sirf 35 ki umar thi. Naukri se avsar paane ke liye toh dhero samay tha. Dekhte-dekhte shikshika ...

NARI KATHA

Image
Baat unn dino ki hai jab mera janm hua, mata pita ati aanandit the ki unke yaha ek ladhki ka janm hua. Main jab kewal 4 saal ki thi toh pita ne kaha chalo school chale toh mataji ne kaha are yeh toh abhi bachi hai iski umar toh sikhne ki hai...is par pitaji khub hase,"are main ek pradhan shikshika se baat karke aaya hu veh taiyar hai ese dakhila lene ke liye, toh tum ise taiyaar karke mujhe doh, main ese khub padhaunga, likhaunga aur nawab banaunga. are tum yehi (apni patni se) soch rahi ho na ki yeh ek ladhki hai. Ladhki hai toh kya hua, yehi toh samaj ki sacchi sevika hogi. Nari jaati ka vishesh samaan karegi, upar uthegi toh desh ko garv hoga. Nari ke rup me beti, patni, maa aur phir saas ke rup me logo ke samne upasthit hogi." Pitaji ne kaha ise uchit sikhsha dunga toh kal ko yeh samaaj me apni pehchan bana sakegi, agar main ise ladhki samjh kar na padhau toh samaaj ka vikas toh ruk jayega. Beti unpadh reh jayegi toh aane wali pidhi ko kya sikhayegi sab kuch adhura reh ja...